Shayaritak

2 line urdu shayari,4 line urdu shayari,sad shayari,love shayari,shayari images,best shayari,shero shayari,urdu sms,famouse shayari by famouse poets,urdu poetry,new shayari,

Breaking

Ad

Monday, July 16, 2018

Best urdu hindi sad shayari collection

best urdu poetry in english text

Sad boy in rain
Sad boy in rain


Wahi kissa purana hai to kya likhna likhana hai

Meri kutya tapakti hai tera mausam suhana hai

Yaha ansu baraste hai waha hansna hasana hai

Karam kar aasma wale kahatak aazmana hai

Mai woh kashti hu kagaz ki jise ab doob jana hai

Utar jayega yeh pani mujhe  ghar yaad ana hai

Aye barish bewafa hoja ke ab mushkil nibhana hai


Sad girl
Urdu poetry

Mausam tere shahar ka barha sohana lage
Churalu mai ek sham gar tujhe bura na lage

Tumhare bas me ho agar toh bhool jao mujhe tumhe bhulane me shayad mujhe zamana lage

Jo dubna hai toh itne sukoon se dubo ke
as pas ki lahro ko pata naa lage

Jo phool mere daman se ho gye mansoob khuda kare unhe bazar ki hawa na lage

Na jane kya hai kisi ki udas ankho me woh muh chupakar jaye bhi toh bewafa na lage

Tu is tarha mere sath bewafai kar ke tere baad mujhe koi bewafa na lage

Tum ankh moond kar pi jao zindagi ke ek ghoot me yeh badmaza na lage

boy smoking
shayaritak


tere wade ki tere pyar ki mohtaj nhi yeh kahani kisi kirdar ki mohtaj nhi

khali kashkop pe itrai huwi firti hai yeh fakiri kisi dastar ki mohtaj nhi

log honto pe sajaye huwe firte hai mujhe meri shohrat kisi akhbar ki mohtaj nhi

ise toofan hi kinare se laga sakta hai meri kashti kisi patwar ki mohtaj nhi

maine mulko ki tarha logo ke dil jite hai yeh hukumat kisi talwar ki mohtaj nhi

sad boy
shayaritak.com

Mohabbat ke anokhe the sabhi andaz kya karte 
Rahe hum bhi gurezaan aap bhi naaraz kya karte 

Sanam tujh se mohabbat ka bhala aaghaaz kya karte 
Labon par baat aayi par na thi awaaz kya karte 

Mere aihbaab kya karte mere dam saaz kya karte 
Mujhe jab dard hi tha raas chaara saaz kya karte 

Hujoom-e-shehr men hum kho gaye kuch chain paane ko 
Akele men sataati thi teri awaaz kya karte 

Dil-e-naazuk humaara  us ne pal men tod daala tha 
Use bhaati thi toote kaanch ki awaaz kya karte 

Hum us ke saamne chup saadh kar baitha kiye phir bhi 
Jafaa-kaari se pesh aaya vo heela-saaz kya karte 

Saja kar sau  tabassum ek ghum tum se chupaati thi 
Magar anmol ke tum jaan kar vo raaz kya karte 




No comments:

Post a Comment

Do not comment any spam massage Or bad words.....